Dil Guman Tha Gumaniyan thay hum
haan miyan dastaniyan thay hum
ham sune aur sunaye jaate thay
raat bhar ki kahaniyan thay hum
jaane ham kis ki bo-ud ka thay saboot
jaane kis ki nishaniyan thay hum
chhorte kyun na hum zameen apnī
aḳhirash asmaniyan thay hum
zarra bhar bhī na thi numud apni
aur phir bhī jahaniyan thay hum
hum na thay ek aan ke bhi magar
javedan javidaniyan thay hum
rose ik ran tha tir-o-tarkash bin
the kamin aur kamaniyan thay hum
arġhavani tha vo piyala-e-naf
hum jo thay urġhavaniyan thay hum
nar-e-pistan thī vo qattala
aur havas-darmiyaniyan thay hum
0 Comments